Waqt ke pahiya me sarsarati ye zindagi
Kore panno si hawa me lehrati ye zindagi

Kuch bhuli bisri yadon ko sameti hui ye zindagi
Armano ke bhav me peroti ye zindagi
Na jane kuch lamhon se tanha hai zindagi
Patte girte hain phool murjhate hain phir fiza me bahar aati hai aur hariyali muskati hai
Phirr na jane kyon sunsan rahon pe tanha rahon par akelepan ka saaz gati ye zindagi
Na jane kin armano ke liye tanha hai zindagi
Log badlenge sama badal jayega
Yaden banegi aur dard badta jayega
Na jane kab ye zindagi khafa ho jayegi.
Kisi ke intezar me, apne yar me, kisi ke pyar me, dard samete aansu bahate phir bhi muskurate hue geet gate hue khud se chupate hue.gungunate hue
Hamari apni tanha zindagi......

No comments:
Post a Comment