Manzil door hai kafila chal raha
Mana koi pehchan nahi, Gumnam hoon main...
Waqt ke hasiye ne badai hai mushkilen
Phir bhi un lamhon me chipa ek dastan hoon main....
Tumse mile honge kabhi GAR na milE
To musafir anjaan hoon main.....
Tumhe agar dard hua to pareshan hoon main
Gar tum hanse to ek Muskaan hoon main....
Fasle badte hain par rishte nahi
In naton ka nigehban hoon main...
Ho sakta hai kabhi tum rooth jao mujhse
Par ye na samjhna ki tumse anjaan hoon main...
Aaj tu mujhse gair aur juda hi sahi..
Jane kyon lagta hai mujhe..........
Kal se nahi arse se tumhari pehchan hoon main
Sochta hoon tere chehre pe saja arman hoon main......
Tu mere dar se gujre na gujre sahi.
Par teri yadon ki sadaon me hoon main
Dil kabhi awara aur muffalis hi sahi
Par karwa e anjam hoon main.....
Kaka kehte hain............
Rishte nate mehfilen sajte thi aur rahengi
Teri yaden meri thi rahengi...
Woh bhi ek daur tha ye bhi ek daur hai...
Galib shayar hi sahi par main bhi ek gajal hoon...
Tere chehre pe khilne wala aftab hoon main.....
Yadon ke daman se lipte chilman se jhankta ek daur hoon main...
No comments:
Post a Comment